Sabne kaha Dosti ek Dard hai,Humne kaha Dard kabool hai,Subne kaha is Dard ke saath Jee na Paogay,Humne kaha teri Dosti ki saath Marna kabool hai
jab dosti ki dastaan waqt sunayega,tab hum ko bhi koi shaqs yaad aayega.hum bhool jaayenge zindagi ke gamon ko,jab tumhaare saath guzara waqt yaad aayega.
dosti ki tadap ko dikhaya nahin jaata,dil mein lagi aag ko bujhaya nahin jaata.kitni bhi doori ho dosti mein,aap jaise dost ko bhulaya nahin jaata.
kya jaane kab maut ka paigam aa jaye,na jaane kab zindagi ki shaam aa jaye ?aey dost mujhe us din ka intezaar hai,jab yeh zindagi tere kisi kaam aa jaye !
Zindagi to jaise ik sazaa si ho gayee hai,gam ke sagar mein is kadar kho gayee hai.tum aajao waapas yeh guzaarish hai meri,shayad mujhe tumhaari aadat si ho gaye hai.
Is duniya mein DOST bahut kam milengey,Is duniya mein gam hi gam milengey.Jahan duniya nazar pher legi,Oos mod pe dost tumhe “HUM” milengey !!!
No comments:
Post a Comment