Monday 6 February 2012

Man samarpit, tan samarpitAur yah jeevan samarpitChaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon

Ma tumhara rin bahut hai, mai akinchanKintu itna kar raha phir bhi nivedanThaal mein laoo saja kar bhaal jab bhiKar daya sweekar lena wah samarpan


Gaan arpit, Praan arpitRaqt ka kan kan samarpitChaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon

Maanj do talwaar, lao na deriBandh do kas kar kamar par dhaal meriBhaal par mal do charan ki dhool thodiSheesh par asheesh ki chhaya ghaneri

Swapn arpit, prashn arpitAayu ka kshan kshan samarpitChaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon

Todta hoon moh ka bandhan, kshama doGaon mere, dwar, ghar, aangan kshama doAaj seedhe haath mein talwaar de doAur bayeen haath mein dhwaj ko thama do

Yah suman lo, yah chaman loNeed ka tran tran samarpitChaahtaa hoon desh ki dharti tujhey kuchh aur bhi doon
Posted by Picasa

No comments:

Post a Comment