Pyar ki gehrayee Pyar ki gehrayee ko tum na samaj paye, hum bhi apne dil ki awaaz, tumhe na suna paye, sahara na diya, ke dard ko samjha nahin tumne kabhi, hamse bhi pukara na gaya, yeh sab jante huye bhi; isi kashmakash mein hum door huye, yuheen tumse, tumne bhi na bulaya, ek baar, huye naraaz jo hamse. Intezaar karte reh gaye hum tumhare liye, par tum na kabhi aaye kyon hamare liye, humse huyi khata yeh jante hain hum; par hamari majboori bhi, kyon na samaj paye tum.Kya paya humne, jo kho diya hai tumko, yadeein bhi ab tumhari, satane lagi hai humko, kaise sunayein tumhe,apne dil ki har dastaan, na raha hamse jab, tumhara koi vastaa. Sochte ho kyon behne lage in ashkoon se ask,kaise kahen ke door na kiya kyon tumne apna shak.Hum bewafa huye yeh kaise liya tumne maan, mangke to dekho hazeer hai meri ab bhi jaan.
No comments:
Post a Comment